sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak

sahra se naddi ke safar mein rawan thi khak
yani apni asl mein ek imkan thi khak

aisi taza-kari is bosida-waraq par
meri shakl mein aane se pahle kahan thi khak

hawa udai us ne ek ek aalam ki
ye us daur ki baat hai jab ki jawan thi khak

ek khushbu ki zad mein tha us ka har raqs
aur isi khushbu ke liye makan thi khak

us mein jitni girhen thin sab aab ki thin
warna apne rang mein to aasan thi khak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close