sair-e-gulshan se jo fursat ho idhar bhi dekho

sair-e-gulshan se jo fursat ho idhar bhi dekho
rang-e-gul dekh chuke dagh-e-jigar bhi dekho

meri mayyat pe use khak-basar bhi dekho
zindagi-bhar ki riyazat ka samar bhi dekho

nuqta-e-husn ba-andaz-e-digar bhi dekho
ishq ka zawiya-e-husn-e-nazar bhi dekho

ek hi husn ke jalwe nazar aaenge tamam
aaina-khana-e-duniya mein jidhar bhi dekho

hasrat-o-yas-o-gham-o-ranj hain mehman dil mein
kitna aabaad hai allah ka ghar bhi dekho

bikhri sindur bhari zulfon mein ru-e-raushan
surkhi-e-sham mein unwan-e-sahar bhi dekho

marte marte na hate rah-e-mohabbat se qadam
mujh mein sau aib sahi ek hunar bhi dekho

farq karte nahin 'shoala' khazaf-o-gauhar mein
ye sitam-zarfi-e-arbab-e-nazar bhi dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close