samajhte the wo, samjhaya gaya hai hamein hum se hi milwaya gaya hai hamare nam ka be-nam hissa kisi ke nam likhwaya gaya hai kabhi ehsan koi kar gaya tha barabar yaad dilwaya gaya hai ye aankhen nind mein bhi jagti hain ye kis ka zikr dohraya gaya hai hum apni guftugu bhi taulte hain hamein bewpar sikhlaya gaya hai