saman to behad hai dil mein

saman to behad hai dil mein
sab kuchh kar-amad hai dil mein

aap kabhi tashrif to laen
ek aali masnad hai dil mein

ba-e-bismillah kholegi
jo qufl-e-abjad hai dil mein

ishq ki ausat kam nahin hoti
aaj bhi sad-fi-sad hai dil mein

koi bahs na koi hujjat
tu be-radd-o-kad hai dil mein

takta rahta hun sahra se
ek hara gumbad hai dil mein

ishq ho jaise jaan ki bazi
aisi shadd-o-mad hai dil mein

us ghar ki wusat kya kahna
tum jaisa khush-qad hai dil mein

ye jannat bhi hai dozakh bhi
nek hai dil mein bad hai dil mein

be-lausi se aae ho sach-much
ya koi maqsad hai dil mein

sar pe zaruri kaam pade hain
aur aamad aamad hai dil mein

hum jate hain fatiha padhne
purkhon ka mashhad hai dil mein

kyun khinchte hain 'shuur' aap aakhir
kya hum se kuchh kad hai dil mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close