sameT kar teri yaadon ke phul daman mein

samet kar teri yaadon ke phul daman mein
basa raha hun bahaaron ko dil ke gulshan mein

abhi ziya-e-tasawwur se aankh raushan hai
abhi bahaar-e-charaghan hai dil ke aangan mein

tere baghair hai be-rang raunaq-e-gulshan
ye aur baat ki khulte hain phul gulshan mein

ghataon se to barasti hon bijliyan jaise
kahan se aaengi thandi hawaen sawan mein

chhupa diya meri nazron se khud mujhe us ne
utar gai hai jo taswir dil ke darpan mein

kahin nazar mein nahin dur dur tak sahil
bhanwar ki naw ke manind jaan hai tan mein

qarib-e-dil bhi hain wo dur bhi hain nazron se
kuchh apne-pan ki jhalak bhi hai ajnabi-pan mein

ruki ruki si hai raftar-e-zindagi jaise
hazar khun ragon mein hai jaan hai tan mein

baras pade meri aankhon se yak-ba-yak aansu
kisi ki yaad jab aai baraste sawan mein

pata nahin hai 'rishi' dur dur manzil ka
kidhar ko jaen hamein raat ho gai ban mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close