samne baiTh ke kuchh baat bhi ho sakti hai

samne baith ke kuchh baat bhi ho sakti hai
aap chahen to mulaqat bhi ho sakti hai

kis ne samjha hai badalte hue mausam ka mizaj
dhup rahte hue barsat bhi ho sakti hai

hath aai hui bazi pe bahut naz na kar
jitne wale tujhe mat bhi ho sakti hai

wadi-e-shab mein charaghon ka ye lashkar kaisa
koi bhatki hui baraat bhi ho sakti hai

hum ne dekha bhi nahin tum ne pukara bhi nahin
kal yahi wajh-e-shikayat bhi ho sakti hai

hum ne pahle hi khabar-dar kiya tha 'masum'
rah-e-ulfat mein koi ghat bhi ho sakti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close