samundar tishnagi wahshat rasai chashma-e-lab tak

samundar tishnagi wahshat rasai chashma-e-lab tak
ye sara khel in aankhon se dekha tere kartab tak

tamasha-gah-e-duniya mein tamashai rahe hum bhi
sahar ki aarzu hum ne bhi ki thi jalwa-e-shab tak

na jaane waqt ka kya faisla hai der kitni hai
ghadi ki suiyan bhi ho chuki hain muzmahil ab tak

kabhi fursat mili to aasman se hum ye puchhenge
rahega tu hamare sar pe yun hi mehrban kab tak

khuda jaane kahan tak kaamyabi hath aai hai
ki apni baat to pahuncha chuka apne mukhatab tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close