saneha roz naya ho to ghazal kya kahiye

saneha roz naya ho to ghazal kya kahiye
har taraf hashr bapa ho to ghazal kya kahiye

barbariyyat pe hi qadghan hai na saffaki par
raqs-e-iblis rawa ho to ghazal kya kahiye

tir-e-baran mere pindar pe hain ahl-e-jafa
izzat-e-nafs fana ho to ghazal kya kahiye

bolna bhi yahan dushwar hai chup rahna bhi
qufl honton pe laga ho to ghazal kya kahiye

ek nasur sa hai dil ki jagah sine mein
zakhm andar se hara ho to ghazal kya kahiye

bhuk ne talkhiyan bhar di hain lab-o-lahje mein
zahr faqon mein ghula ho to ghazal kya kahiye

dam gharibi mein nikalta na thaharta hai 'rabab'
zindagi sard chita ho to ghazal kya kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close