sang aata hai koi jab mere sar ki jaanib

sang aata hai koi jab mere sar ki jaanib
dekh leta hun samar-bar shajar ki jaanib

is masafat ka koi ant nahin hai lekin
din nikalte hi main chal padta hun ghar ki jaanib

kis ne aawaz mujhe sahil-e-jaan se di hai
naw kyun dil ki lapakti hai bhanwar ki jaanib

qissa-e-shauq ko us tishna-labi ka likhna
kar ke ek aur safar shahr-e-hunar ki jaanib

phir se angaron ka mausam mere andar utra
phir badha hath mera lal-o-gohar ki jaanib

ye jo hai surat-e-haalat badal sakti hai
kash kar panw safar khair se shar ki jaanib

ain mumkin hai ki pathraata na koi 'azmi'
tu ne dekha hi nahin mud ke nagar ki jaanib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close