sanjidgi ki KHas zarurat to hai nahin

sanjidgi ki khas zarurat to hai nahin
afsana hai ye zist haqiqat to hai nahin

adna sa ek daera hai ishq-o-uns ka
is dil mein aasman ki wusat to hai nahin

ek soch hai zara si meri tum se mukhtalif
kuchh meri tum se zati adawat to hai nahin

bazar se hai sab ko munafe ki hi gharaz
par sab ke pas tarz-e-tijarat to hai nahin

us ne zarur kar liya iqbaal jurm ka
lekin nazar mein us ke nadamat to hai nahin

likkha hai thodi nam kisi ka hawaon par
ye dhup bhi kisi ki wirasat to hai nahin

'saurabh' tujhe ye khauf hai ruswaiyon ka kyun
aisi teri samaj mein izzat to hai nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close