sannata tufan se siwa ho ye bhi to ho sakta hai ye kuchh aur bada dhoka ho ye bhi to ho sakta hai zabt-e-junun se andazon par dar to band nahin hote tu mujh se badh kar ruswa ho ye bhi to ho sakta hai rahne de ye harf-e-tasalli meri himmat past na kar nakaami hi mein rasta ho ye bhi to ho sakta hai dhundne wala dhund raha hai aur andaz jafaon ke mujh ko wafa ka zakhm laga ho ye bhi to ho sakta hai lao ek lamhe ko apne-ap mein dub ke dekh aaun khud mujh mein hi mera khuda ho ye bhi to ho sakta hai mujh ko to ye eazaz bahut hai lekin teri tamanna ne mere labon se kaam liya ho ye bhi to ho sakta hai aakhir apne qadmon ko kyun hum mulzim thahraate hain rahon ne munh mod liya ho ye bhi to ho sakta hai mere tasawwur ne bakhshi hai tanhai ko bhi ek mahfil tu mahfil mahfil tanha ho ye bhi to ho sakta hai