sans lete hue dar lagta hai zahr-alud dhuan phaila hai kis ne sahra mein meri aankhon ke ek dariya ko rawan rakkha hai koi aawaz na jumbish koi mera hona bhi koi hona hai baat kuchh bhi na karunga ab ke ru-ba-ru us ke faqat rona hai zakhm dhoe hain yahan par kis ne sare dariya mein lahu phaila hai itna gahra hai andhera mujh mein panw rakhte hue dar lagta hai shakhs hansta hai jo aaine mein yaad padta hai kahin dekha hai chat jae na mujhe dimak sa gham jo sine se mere lipta hai jaane kya khona hai ab bhi mujh ko phir se kyun ji ko wahi khadsha hai