sanson ke taaqub mein hairan mili duniya taswir bane jab hum aaina hui duniya hum khun pasina jab ek kar ke hue raushan kyun aag bani duniya aur khub jali duniya apna nazariyya kya mahrum-e-nazar hain jab us samt chale hum bhi jis samt chali duniya sailab-e-bala se ye kyun khauf dilati hai kya hum ko bachaegi shoalon mein ghiri duniya mamul judai hai go phul ki gulshan se lekin jo hui anqa khwabon mein basi duniya sab khwab purane hain har chand fasane hain hum roz basate hain aankhon mein nai duniya hum donon safar mein the malum nahin ab kuchh kya tu ne kahi duniya kya hum ne suni duniya farda-e-qayamat ka wada tera pursan hai ab kitni bachin sansen ab kitni bachi duniya har baat pe hairani har lamhe ki nigrani duniya se 'ata' yani kab samjhi gai duniya