sanwar jae bhi to munh dekhne darpan nahin milta

sanwar jae bhi to munh dekhne darpan nahin milta
gharibi ki kalai mein koi kangan nahin milta

badon ki khwahishon ka bojh hai nanhe se kandhon par
hamare daur mein bachchon ko ab bachpan nahin milta

main zid kar ke kabhi rota to aansu ponchh leti thi
abhi rota hun to shafqat-bhara daman nahin milta

kahin jhule nahin padte kabhi sarson nahin phuli
yahan pardes mein aa kar mujhe sawan nahin milta

siyasat ki dukanon se khariden hain nae chehre
sabhi rahbar banen phirte hain ek rahzan nahin milta

mere aslaf sa koi amanat-dar hai 'sabir'
agar masraf ho zati to diya raushan nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close