saqi mujhe shabab ka rasiya kahe so hun main khud se be-niyaz hun jaisa kahe so hun meri hawas ke andarun mahrumiyan hain dost wamanda-e-bahaar hun ghatiya kahe so hun ab main kisi ki soch badalne se to raha ye shahr-e-bad-guman mujhe shaida kahe so hun tu hi bata main apni safai mein kya kahun tu baat baat mein mujhe jhuta kahe so hun 'danish' khud-ehtisabi ka mujh mein nahin dimagh munh-phat hun bad-mizaj hun duniya kahe so hun