sar-e-diwar chunwai gai hun kabhi hiron mein tulwai gai hun main aurat thi sharik-e-takht kab thi so malika kah ke bulwai gai hun mere paikar ka tha paiham taqaza main har ek gam bahkai gai hun muqaddas hain sabhi rishte jo mere to kyun bazar mein lai gai hun meri har soch par pahre lage hain kahan zi-aql kahlai gai hun bana kar aaina 'afroz' 'rizwi' hadaf patthar ka thahrai gai hun