sar-e-turbat kahin ek husn ki taswir dekhi hai

sar-e-turbat kahin ek husn ki taswir dekhi hai
are o marne wale yun teri taqdir dekhi hai

sulagti aag ke dariya kiye tai dub kar main ne
tadapti zindagi se bazi-e-shamshir dekhi hai

na bahlaen mujhe ab jhute wadon se mere rahbar
bahut kuchh aaj tak un ki rah-e-tadbir dekhi hai

pahadon ko hila de munqalib kar de zamanon ko
nazar ne wo sada-e-halqa-e-zanjir dekhi hai

bana de mujh se jaise na-balad ko bhi jo ek shair
wo main ne hazrat-e-'makhmur' mein tasir dekhi hai

gharibi muflisi bechaargi gham ki hirasani
ba-andaz-e-jali har samt ye tahrir dekhi hai

jo aahan mom kar de aur patthar ko bhi pighla de
janab-e-'zabt' ki baaton mein wo tasir dekhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close