sar-kashi ko jab humne ham-rikab rakhna hai

sar-kashi ko jab hum ne ham-rikab rakhna hai
tutne bikharne ka kya hisab rakhna hai

ek ek saat mein zindagi samoni hai
ek ek jazbe mein inqalab rakhna hai

raat ke andheron se jang karne walon ne
subh ki hatheli par aaftab rakhna hai

hum pe us se wajib hain koshishen baghawat ki
tum ne jis qabile ko kaamyab rakhna hai

rakh do hum faqiron ki is kushada jholi mein
apni baadshahi ka jo azab rakhna hai

tum to khud zamane mein jabr ki alamat ho
tum ne jabr kya zer-e-ehtisab rakhna hai

shahr-e-be-aman hum ne naqd-e-jaan luta kar bhi
tere har dariche par kal ka khwab rakhna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close