sar kaTa kar sifat-e-shama jo mar jate hain

sar kata kar sifat-e-shama jo mar jate hain
nam raushan wahi aafaq mein kar jate hain

lakhon ka khun bahaenge wo jab honge jawan
jo ladakpan mein lahu dekh ke dar jate hain

jumbish-e-tegh-e-nigah ki nahin hajat aslan
kaam mera wo ishaaron hi mein kar jate hain

un ko ushshaq hi ke dil ki nahin hai takhsis
koi shisha ho pari ban ke utar jate hain

barq ki tarah se betab jo hain ai 'nadir'
tar-ghar kis ki wo lene ko khabar jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close