sar par dukh ka taj suhana lagta hai mera chehra kya shahana lagta hai jab main kachcha phal tha to mahfuz tha main ab jo paka to mujh pe nishana lagta hai shahr-e-dil ke khwab ki kya tabir karun kabhi naya ye kabhi purana lagta hai hathon mein kashkol liye tu de na sada bahron ka to ye kashana lagta hai aaine mein dekh ke ye mahsus hua tera chehra kyun begana lagta hai