sar-phire karne lage hain jazb soz-e-dil ki baat

sar-phire karne lage hain jazb soz-e-dil ki baat
ab khuda rakkhe to rakkhe aap ki mahfil ki baat

qafile walo ab aao aur aage badh chalen
kha chuke rahbar ka dhoka jaan li manzil ki baat

kitni nafrat ho rahi hai surat-e-sahil se ab
kitni hasrat se kiya karte the hum sahil ki baat

ho ke barham uthne wale hain wo sare tishna-lab
aai hai hisse mein jin ke saqi-e-mahfil ki baat

khud hi ab raushan karenge apne gham-khane ko hum
dekh li taro tumhaari sai-e-la-hasil ki baat

sare ammal-e-hukumat mujh se bad-zan ho gae
kar raha tha ek din main bismil-o-qatil ki baat

soch ai 'nazish' na ho ye bhi farari zehniyat
kar raha hai ahd-e-hazir mein jo mustaqbil ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close