sar se utre nahin phul manzil ki dhun ham-safar baat sun

sar se utre nahin phul manzil ki dhun ham-safar baat sun
rah mein khar aaen to talwon se chun ham-safar baat sun

dhup mein to safar sakht dushwar hai be-shajar rah ka
sar ki khatir koi soch saya hi bun ham-safar baat sun

rabta apna zarkhez mitti se rakh aur sarsabz rah
kha gaya kitne sukhe darakhton ko ghun ham-safar baat sun

kuchh bata dil ki dilli se kis lucknow ki taraf ja basen
kaun basti hai jis par barasta hai hun ham-safar baat sun

har qadam par amir is tarah thaharna sochna kis liye
waqt chhalni hai aur is mein pani na pun ham-safar baat sun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close