sara badan hai KHun se kyun tar use dikha

sara badan hai khun se kyun tar use dikha
shah-rag kati hai jis se wo nashtar use dikha

aaegi kaise nind dikha wo hunar use
phir is ke baad khwab ko chhu kar use dikha

aankhon se apne ashk ke taron ko tod kar
sukhi nadi ke dard ka manzar use dikha

dukh-sukh jo dhup chhanw ka ek khel hai to phir
suraj ke sath baadalon ke par use dikha

aae jo koi shishe ka paikar liye hue
to apne dasht-e-shauq mein patthar use dikha

puchhe jo zindagi ki haqiqat koi 'jamal'
to chutkiyon mein ret uda kar use dikha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close