sara din be-kar baiThe sham ko ghar aa gae

sara din be-kar baithe sham ko ghar aa gae
khwab mein chalne lage diwar se takra gae

main bhari sadkon pe bhi be-chap chalne lag gaya
ghar mein soe log mere zehn par yun chha gae

mera beta mere dushman ki hi taswiren banae
mere abba us ki copy dekh kar ghabra gae

jab bhi suraj dubte dekha main khush hone laga
par kai manhus chamgadad mujhe larza gae

aasman ki samt dekha baadalon ke waste
dekhte hi dekhte chilon ke dil mandla gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close