sara-e-shar mein rahna paD raha hai

sara-e-shar mein rahna pad raha hai
qaza ke dar mein rahna pad raha hai

hai mere qatl ke darpai khamoshi
sada ke dar mein rahna pad raha hai

main khud ko dusron mein dekhta hun
so chashm-e-tar mein rahna pad raha hai

khayal-o-khwab hain jis ke muawin
use bistar mein rahna pad raha hai

main hun jis ka dil-o-jaan se mukhalif
usi lashkar mein rahna pad raha hai

guzara faqr par hota hai phir bhi
panah-e-zar mein rahna pad raha hai

chala hai hijraton ka daur jab se
zamane-bhar mein rahna pad raha hai

koi to lash hai mere hawale
jo murda ghar mein rahna pad raha hai

hawa ke panw to bahar hain 'rahat'
mujhe chadar mein rahna pad raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close