sarab-e-zist mein simTa hua hun

sarab-e-zist mein simta hua hun
samundar hun magar qatra-numa hun

khuda se mil ke khud main aa gaya hun
ab aaine ko sajda kar raha hun

tumhein bhi dost apna jaanta hun
badi khush-fahmiyon mein mubtala hun

junun hun ya khirad ki intiha hun
na samjha aaj tak khud bhi main kya hun

haqiqat ko fasana kaise kah dun
fasane ko haqiqat kah chuka hun

zamana mujh mein khud ko dekhta hai
hazaron suraton ka aaina hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close