sare aalam se mere gham ka hai afsana juda

sare aalam se mere gham ka hai afsana juda
dil ke matam ke liye chahiye gham-khana juda

garche wahshat ka nahin hai koi afsana juda
par nazar aata hai sab se tera diwana juda

qurbat-e-husn ghazab hai ki sar-e-mahfil-e-naz
us ke lab se nahin hota lab-e-paimana juda

ai khuda kashmakash-e-yas-o-tamanna kab talak
un ke rahne ke liye dil mein ho har khana juda

aaj tang aa ke ye naseh ko diya main ne jawab
mazhab-e-shaikh juda mashrab-e-rindana juda

khushk ho jae jo baqi hai rag-e-jaan mein lahu
dil se hona na abhi ai gham-e-jaanana na juda

be-khudi mein bhi raqabat ka magar hai ehsas
ek sahra mein hai diwane se diwana juda

sabr ki mujh ko judai mein hai talqin fuzul
ye to jab ho ki rahe shama se parwana juda

dasht jagir hai majnun ki to kya fikr 'nazar'
khod kar ghar ko bana lijiye virana juda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close