sare mausam hain mehrban se kuchh

sare mausam hain mehrban se kuchh
roz utarta hai aasman se kuchh

har ibarat sawal jaisi hai
lafz ghaeb hain darmiyan se kuchh

kis ki lau ne jala diya kis ko
rakh mein hain abhi nishan se kuchh

kis se tafsir-e-mah-o-sal karen
din guzarte hain be-aman se kuchh

kya khabar ye kahan talak phaile
uth raha hai dhuan guman se kuchh

karwan kis ka manzilen kis ki
kya jhalakta hai dastan se kuchh

ek taswir raushni le kar
sae nikle to hain makan se kuchh

is qadar e'tibar kar lije
rabt rakhta hun khandan se kuchh

tum bhi us waqt se daro logo
jab nikal jae is zaban se kuchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close