sare zalim agar saf-ba-saf ho gae

sare zalim agar saf-ba-saf ho gae
hum tahi-dast bhi sar-ba-kaf ho gae

wo jo kuchh bhi na the ab hain sab kuchh wahi
dar-ba-dar sare ahl-e-sharaf ho gae

kuza-gar ka kamal-e-hunar kya hua
jab na kuza bane hum khazaf ho gae

ye teri yaad ke ashk the is liye
aankh mein misl-e-durr-e-sadaf ho gae

munsalik ek khushi se hui har khushi
sare gham ek hi gham mein laf ho gae

baat us se sar-e-rah kya hum ne ki
nawak-e-dostan ka hadaf ho gae

ab hamari safai mein aae ho tum
jab ki bad-nam hum har taraf ho gae

nashr hoti rahin un ki bas khubiyan
jumle tanqid ke sab hazaf ho gae

wo talab kar rahe hain wafadariyan
munharif jo utha kar halaf ho gae

mujrmon ko muraat itni milin
ki jaraem bhi shughl-o-shaghaf ho gae

tuf ye aulad-e-be-his ki jis ke sabab
raegan kar-ha-e-salaf ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close