sarhad-e-jism se bahar kahin ghar likkha tha

sarhad-e-jism se bahar kahin ghar likkha tha
ruh par apni khalaon ka safar likkha tha

hum bhatakte rahe sadiyon jise padhne ke liye
apne andar wo kahin harf-e-hunar likkha tha

aaj un aankhon mein dekha to mila dasht-e-khala
hum ne jin aankhon mein ek khwab-nagar likkha tha

apne ghar mein isi ehsas ne jine na diya
apne hathon pe kisi aur ka ghar likkha tha

zindagi ek sulagta hua sahra tha jahan
sab ki aankhon mein sarabon ka bhanwar likkha tha

kaun tha mujh mein ki jis ne mujhe padhne na diya
mere chehre pe mera nam agar likkha tha

apni hi zat ke haale mein rahe hum 'azad'
an-ginat daeron ka yani safar likkha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close