sari ruswai zamane ki gawara kar ke

sari ruswai zamane ki gawara kar ke
zindagi jite hain kuchh log khasara kar ke

apne is kaam pe wo raaton ko rota hoga
bech deta hai jo zarre ko sitara kar ke

gham ke mare hue hum log magar collage mein
dil bahal jata hai pariyon ka nazara kar ke

phir wahi josh wahi jazba ata hota hai
tum ne dekha hi nahin pyar dobara kar ke

apne kirdar se duniya ko hila kar rakh de
warna kya faeda is tarah guzara kar ke

hum se aabaad hai ye sher-o-sukhan ki mahfil
hum to mar jaenge lafzon se kinara kar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close