sarishk-e-gham ki rawani thami hai mushkil se

sarishk-e-gham ki rawani thami hai mushkil se
jo baat kahni thi un se kahi hai mushkil se

na jaane ahl-e-junun par ab aur kya guzre
abhi to fasl-e-bahaaran kati hai mushkil se

shab-e-firaq na puchho ki kis tarah guzri
sahar hui to hai lekin hui hai mushkil se

laga hua hai ye dhadka ki bujh na jae kahin
hawa mein sham-e-mohabbat jali hai mushkil se

kahan thi manzil-e-maqsud apni qismat mein
kisi ki rahguzar bhi mili hai mushkil se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close