sarKHushi mere liye asbab-e-gham mere liye

sarkhushi mere liye asbab-e-gham mere liye
maujzan hai jaise dariya-e-karam mere liye

har sitam mere liye hai har karam mere liye
husn ke jalwe hain sare besh-o-kam mere liye

kya haqiqat hai gham-e-hasti ki mere samne
aae din hi gardan-e-mina hai kham mere liye

ishq ki be-tabiyan hain husn ki ranaiyan
ho gae hain zist ke saman baham mere liye

khud pasheman hun main apne nala-e-shab-gir par
uf wo chashm-e-kaif-agin aur nam mere liye

dil ki azmat kya kahun dil ki haqiqat kya kahun
jaise ham-aghosh hon dair-o-haram mere liye

ishq ki mojiz-numai 'kaif' ab kya puchhiye
bar-e-hasti ho gaya hai khud hi kam mere liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close