saton rang khula nahin pae hum bhi to mausam us ke la nahin pae hum bhi to dubte kaise barf jami thi dariya mein sanson se pighla nahin pae hum bhi to jis ki tohmat rakkhi apne buzurgon par wo diwar gira nahin pae hum bhi to ladke hum se puchh rahe the kaun hain aap barson ghar tak ja nahin pae hum bhi to kis munh se hum us ko samjhate 'afsar' dil ka bojh utha nahin pae hum bhi to