sau baaton ki baat hai pyare wo jo zat mein hoti hai

sau baaton ki baat hai pyare wo jo zat mein hoti hai
har insan ki izzat us ke apne hat mein hoti hai

koi ajab sa pahlu hai jo dil mein ghar kar jata hai
koi alag si baat hai jo us ki har baat mein hoti hai

us ki yaad bhi us ki tarah ulte waqton aati hai
sham dhale tak dur rahe aur pas wo raat mein hoti hai

kisi se jhute wade karna dhoka dena hota hai
ghalati to wo hai meri jaan jo jazbaat mein hoti hai

'zehra-zaidi' aap use aakhir kyun man nahin letin
ishq to rahmat hai aur rahmat kab khairaat mein hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close