sau uljhanon ke beach guzara gaya mujhe jab bhi teri talab mein sanwara gaya mujhe kam ho saka na phir bhi mera martaba agar pasti mein aasman se utara gaya mujhe suljhi na ek bar kahin zulf-e-zindagi garche hazar bar sanwara gaya mujhe apne mafad ke liye maidan-e-jang mein jita gaya kabhi kabhi haara gaya mujhe dhoya gaya badan mera ashkon ke aab se mere lahu ke sath nikhaara gaya mujhe phir bhi rawan-dawan hun main mauj-e-hayat mein sau bar garche dahr mein mara gaya mujhe rakh kar chalunga jaan hatheli pe main 'nabil' maqtal se jis ghadi bhi pukara gaya mujhe