sauda-e-ishq yun bhi utarna to hai nahin ye zakhm-e-ruh hai ise bharna to hai nahin sau bar aaina bhi jo dekhen to faeda? surat ko khud-bakhud hi sanwarna to hai nahin mujh ko khabar hai dahr mein zinda rahunga main 'bullhe' ki tarah mar ke bhi marna to hai nahin jis lahr ko nigal gai ek lahr dusri us lahr ko dobara ubharna to hai nahin tu jo yaqin kar le ki wo hai to phir wo hai shai ka wajud asl mein warna to hai nahin! dharnai ki tarah se jo dharna bhi dun to kya? dharti pe us ne phir bhi utarna to hai nahin karta hun khud hi mabhas o taqrir se gurez tark-e-talluq aap se karna to hai nahin wo jis ko apne-ap se lagta nahin hai dar us ko khuda ki zat se darna to hai nahin kyun us ke intizar mein baitha hun der se? is rah-guzar se us ne guzarna to hai nahin 'sahir' ye mera dida-e-giryan hai aur main sahra mein koi dusra jharna to hai nahin