sauda-e-sajda sham-o-sahar mere sar mein hai

sauda-e-sajda sham-o-sahar mere sar mein hai
ai but kashish kuchh aisi tere sang-e-dar mein hai

main kab hun ye mera tan-e-be-jaan hazar mein hai
ruh-e-rawan-e-qalib-e-tan to safar mein hai

ye ek asar to adwiya-e-chaaragar mein hai
shiddat ab aur bhi mere dard-e-jigar mein hai

sauda-e-ishq zulf-e-siyah jis ke sar mein hai
kab mutlaq imtiyaz use nafa o zarar mein hai

kya aaega kisi but-e-shirin-dahan pe dil
kyun mitha mitha dard hamare jigar mein hai

chheda mujhe ki nuh ka tufan bapa hua
ek bahr-e-ashk band meri chashm-e-tar mein hai

pahuncha kisi ko sadma ki hum lotne lage
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai

nok-e-mizha ka rahne laga dil mein phir khayal
shiddat ki tis phir mere zakhm-e-jigar mein hai

sauda-e-zulf-e-yar mein hai dard-e-sar zarur
ek khas lutf bhi magar is dard-e-sar mein hai

mera ye nakhl-e-dil bhi hai aazad misl-e-sarw
gul is shajar mein hai na samar is shajar mein hai

chahe to la-makan ki bhi le aae ye khabar
ye zor taer-e-dil-e-be-baal-o-par mein hai

dushnam se bhi yar ki aati hai bu-e-lutf
kuchh shak nahin ki khair nihan us ke shar mein hai

kuchh shak nahin ki qurb-e-qayamat ki hai dalil
ye fitna o fasad ki ab bahr o bar mein hai

ho us se mere dida-e-tar ka muqabla
'ranjur' is ki tab kahan abr-e-tar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close