sauda tha bala-e-josh par raat

sauda tha bala-e-josh par raat
bistar par bichhae neshtar raat

bigde the yahan wo aan kar raat
be-taur bani thi jaan par raat

hum ta-sahar aap mein nahin the
kya jaane rahe wo kis ke ghar raat

afsana samajh ke so gae wo
kaam aai fughan-e-be-asar raat

aaine mein ho na mom jadu
sote nahin ab wo ta-sahar raat

tare aankhen jhapak rahe the
tha baam pe kaun jalwa-gar raat

andher pada zamane mein hae
ne din ko hai mehr ne qamar raat

is lail-o-nahaar-e-gham ne mara
hai roz se siyah-tar raat

kya puchho ho munkar-o-nakir aah
bigde jo wo tan-e-ghair par raat

ye baat badhi ki mar gae hum
maut aai thi qissa mukhtasar raat

is ghar mein hai aish-e-khuld 'momin'
kya jaane kahan hai din kidhar raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close