sawal-e-subh-e-chaman zulmat-e-KHizan se uTha

sawal-e-subh-e-chaman zulmat-e-khizan se utha
ye nafa kam to nahin hai jo is ziyan se utha

safina-rani-e-mahtab dekhta koi
ki ek talatum-e-zau ju-e-kahkashan se utha

ghubar-e-mah ki maqsum tha khalaon ka
bikhar gaya to tere sang-e-astan se utha

gham-e-zamana tere naz kya uthaunga
ki naz-e-dost bhi kam mujh se sargiran se utha

mere habib bahut kam-sabaat hai duniya
mere habib bas ab hath imtihan se utha

bayan-e-laghzish-e-adam na kar ki wo fitna
meri zamin se nahin tere aasman se utha

kahan chale ho liye naqd-e-jaan-o-dil 'sahba'
ki karobar-e-wafa shahr-e-dil-baran se utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close