shab dhali utar gaya phir ishq ka nasha mera kya hua wo der tak usi ko dhundhna mera uljhanen tamam umr zat mein rahin mere kash mere hath phir lage koi sira mera mujh se wo sukun mangta hai ye bhi din hai ek jo tamam umr hi bana raha khuda mera zindagi jo ji gai udasiyon se thi bhari ye pairahan bhi tha ghamon ke than se sila mera marsiya jo padh saka na lash par meri abhi wo ga raha hai mahfilon mein ban ke aashna mera sans lun to yun lage koi gunah kar diya ab to koi faisla suna hi de khuda mera