shab guzar kar bhi andhera kam nahin

shab guzar kar bhi andhera kam nahin
us ki zulfen to kahin barham nahin

ghair ban kar jab gae is bazm mein
hum ne dekha hum se wo barham nahin

hain nazar mein uljhanen bhi zist ki
warna in zulfon mein itne kham nahin

pasban-e-gulistan bante hain aur
imtiyaz-e-shoala-o-shabnam nahin

aaj bhi pyase rahe to dekhna
bazm mein saqi nahin baham nahin

hum se 'khawar' lakh wo barham sahi
bad-guman hum bhi magar kuchh kam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close