shaeri mujhko ajab haal mein le jati hai

shaeri mujh ko ajab haal mein le jati hai
kabhi matam kabhi dhammal mein le jati hai

mein kisi chashm-e-nigah-dar ki had mein hun ki jo
mujh ko wapas mere ahwal mein le jati hai

meri khwahish badi tafsil-talab hai lekin
teri surat mujhe ijmal mein le jati hai

main bichhata hun musalla sar-e-mehrab-e-niyaz
phir ibaadat mujhe patal mein le jati hai

main to sunta hi nahin hun koi guftar-e-khirad
ye kabhi qil kabhi qal mein le jati hai

ras aai na mujhe aaina-khane ki chamak
ye meri shakl ko ashkal mein le jati hai

khud-faramoshi ki ek lahr kahin se aa kar
ek do bar mujhe sal mein le jati hai

is liye sota nahin main ki nigar-e-duniya
khema-e-khwab se pindal mein le jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close