shahr-e-dil sulga to aahon ka dhuan chhane laga shabnami aanchal magar yaadon ka lahrane laga sham-e-tanhai mein bhi ek shakhs ki yaadon ka sath rang apne gham ke viranon ka sanwlane laga tham kar baitha raha main chandni ka narm hath jab andhera zulf ka mahaul par chhane laga dasht-e-tanhai mein ji chaha use aawaz dun jab pukara khud sada se apni takrane laga sham hi se jal uthe jab us ki yaadon ke charagh chhanw mein taron ki shab par bhi nikhaar aane laga