shahr-e-junun mein kal talak jo bhi tha sab badal gaya marne ki khu nahin rahi jine ka dhab badal gaya pal mein hawa mita gai sare nuqush nur ke dekha zara si der mein manzar-e-shab badal gaya meri purani arz par ghaur kiya na jaega yun hai ki us ki bazm mein tarz-e-talab badal gaya saat-e-khub wasl ki aani thi aa nahin saki wo bhi to wo nahin raha main bhi to ab badal gaya duri ki dastan mein ye bhi kahin pe darj ho tishna-labi to hai wahi chashma-e-lab badal gaya mere siwa har ek se duniya ye puchhti rahi mujh sa jo ek shakhs tha patthar mein kab badal gaya