shairi meri tapasya lafz hai bargad mera

shairi meri tapasya lafz hai bargad mera
ye zamin sari zamin mushfiq zamin mabad mera

main gaya ki raushni hun main hira ka nur hun
tu fana ke hath se kyun napta hai qad mera

dhyan ke gunge safar se bhi nikal jaun magar
rasta roke khadi hai sans ki sarhad mera

umr-bhar suraj tha sar par dhup thi mera libas
ab ye khwahish hai ghani chhanw mein ho marqad mera

kah diya tha main purani soch ka shajara nahin
aaj tak munh dekhte hain mere khal-o-khad mera

mujh se aage bhi hain kuchh taza sadaon ke alam
main 'zafar' ka ladla hun pesh-rau 'amjad' mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close