shajar kalam karen shahr bhi naya ho jae main ek ism padhun aur moajiza ho jae ye log fart-e-tahayyur se mar bhi sakte hain agar ye khwab haqiqat mein runuma ho jae gale milo ki salamat hain aaj hum donon kise khabar ki yahan kaun kab juda ho jae ye barmala jo main iqbaal-e-ishq karta hun ajab nahin ki mujhe ishq mein saza ho jae ye dil qayam pe mail hai in dinon warna asa uthaun to dariya bhi rasta ho jae