shakh tinke ko likha shoale ko jhonka likh diya main ghazal kahne laga lekin qasida likh diya padhti rahti hain khalaon ko meri binaiyan tu ne in auraq par mere khuda kya likh diya kis ki sansen mere hathon ki lakiren ban gain kis ne mere aaine mein apna chehra likh diya kis ki khushbu se mahak utthin meri tanhaiyan kis ne virane mein qismat ka tamasha likh diya main jahan duba wahan buniyaad-e-sahil pad gai aakhiri sanson ne pani par jazira likh diya zindagi ko udte lamhon ke kafan mein dhanp kar sang-e-mustaqbil pe main ne apna katba likh diya yun mukammal ki hai 'najmi' main ne apni dastan jis jagah bhi rabt tuta nam us ka likh diya