sham aai sehn-e-jaan mein KHauf ka bistar laga

sham aai sehn-e-jaan mein khauf ka bistar laga
mujh ko apni ruh ki viraniyon se dar laga

ek lamhe ki shararat thi ki har lamha mujhe
aap-apni samt se aata hua patthar laga

dhund si phaili hui thi aasman par dur tak
mauja-e-reg-e-rawan mujh ko tera paikar laga

khana-e-dil ko sajaana bhi hai ek shauq-e-fuzul
kaun jhankega yahan ye aaine bahar laga

jagne walon ki basti se guzar jate hain khwab
bhul thi kis ki magar ilzam raaton par laga

khamushi ki chaar-diwari bhi shayad gir chuki
aaj jaane kya hua wo shakhs bhi be-ghar laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close