sham Dhalte der tak chhat par khaDi rahti hun main

sham dhalte der tak chhat par khadi rahti hun main
dubte suraj ko jaanan dekhti rahti hun main

kaisi kaisi uljhanon mein ab padi rahti hun main
jaane kya kya dekhti aur sochti rahti hun main

koi zer-e-lab hamesha gungunata hai mujhe
main kisi ke dil ki hun aur an-kahi rahti hun main

ek duniya ka safar hai us ke mere darmiyan
fasle hi fasle hain napti rahti hun main

kaisa baadal hai lipat jata hai mujh se khwab mein
kaisi barish hai ki shab bhar bhigti rahti hun main

saneha kya tha tamiz-e-farhat-o-gham mit gai
ab koi rut ho hamesha ek si rahti hun main

ek sitara der tak karta hai mujh se guftugu
wo nahin sota so jaanan jagti rahti hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close